giitaayan An Interface to ISB

o tuu kyaa jaane din\-raat ham jiite hai.n - Mahal (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
o tuu kyaa jaane din-raat ham jiite hai.n o teraa naam le ke -2 o terii nazaro.n ke jaam ham piite hai.n o teraa naam ... terii hii baate.n karate hai.n ham saarii raat sitaaro.n se yah puuchh le shoK nazaaro.n se yah puuchh le mast bahaaro.n se ki zindagii ke subah-shaam kaise biite hai.n o teraa naam ... terii maasuum nigaaho.n ne badalii qismat dilavaalo.n kii jab se hamane daulat paa_ii tere ra.ngiin Kyaalo.n kii har haarii hu_ii baazii ham jiite hai.n o teraa naam ... ham terii yaad me.n so_e nahii.n jaane kitanii hii raato.n se le bas ham ab chup ho jaate hai.n mat ruuTho hamaarii baato.n se na kahe.nge kuchh aur lab siite hai.n o teraa naam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.