aa chal ke tujhe, mai.n le ke chaluu.n
ik aise gagan ke tale
jahaa.N Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho
bas pyaar hii pyaar pale
ik aise gagan ke tale
suuraj kii pahalii kiraN se, aashaa kaa saveraa jaage (2)
cha.ndaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor a.ndheraa bhaage (2)
kabhii dhuup khile kabhii chhaa.Nv mile
lambii sii Dagar na khale
jahaa.N Gam bhii no ho, aa.Nsuu bhii na ho ...
jahaa.N duur nazar dau.D aae, aazaad gagan laharaae
jahaa.N ra.ng bira.nge pa.nchhii, aashaa kaa sa.ndesaa laae.n (2)
sapano me palii ha.Nsatii ho kalii
jahaa.N shaam suhaanii Dhale
jahaa.N Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho ...
aa chal ke tujhe mai.n le ke chaluu.n ...
sapano.n ke aise jahaa.N me.n jahaa.N pyaar hii pyaar khilaa ho
ham jaake wahaa.N kho jaae.N shikawaa naa koii gilaa ho
koii bair na ho, koii Gair na ho
sab milake yuu.N chalate chale.n
jahaa.N Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho ...
aa chal ke tujhe mai.n le ke chaluu.n ...
|