mu : bahaaro.n se puuchho mere pyaar ko tum
tumhaare taraane ham gaa rahe hai.n
su : nazaaro.n se puuchho mere pyaar ko tum
tumhaare li_e ham ji_e jaa rahe hai.n
nazaaro.n se puuchho ...
mu : agar jaan tum ho to ham bhii to dil hai.n
bhare hai.n hazaaro.n muhabbat ke aramaa.n
su : agar tum ho saagar to mai.n bhii huu.N nadiyaa
hai.n dono.n dilo.n me.n muhabbat ke tuufaa.n
mu : mere pyaar kaa to kinaaraa nahii.n hai
tere pyaar me.n ham bahe jaa rahe hai.n
bahaaro.n se puuchho ...
mu : ye uudii ghaTaa_e.N mastii luTaa_e.N
jaise tumhaarii sharaabii niGaahe.n
su : ye Tha.nDii havaa_e.N bharatii hai.n aahe.n
samajho inhe.n tum hamaarii sadaa_e.n
mu : fizaa_o.n me.n dekho baadal nahii.n hai.n
ye aa.Nchal tumhaare hii laharaa rahe hai.n
do : bahaaro.n se puuchho ...
|