zikr hotaa hai jab qayaamat kaa tere jalavo.n kii baat hotii hai
tuu jo chaahe to din nikalataa hai tuu jo chaahe to raat hotii hai
zikr hotaa hai jab ...
tujhako dekhaa hai merii nazaro.n ne terii taariif ho magar kaise
ke bane ye nazar zubaa.N kaise ke bane ye zubaa.N nazar kaise
naa zubaa.N ko dikhaa_ii detaa hai naa niGaaho.n se baat hotii hai
zikr hotaa hai jab ...
tuu chalii aa_e muskuraatii hu_ii to bikhar jaa_e.n har taraf kaliyaa.N
tuu chalii jaa_e uTh ke pahaluu se to uja.D jaa_e.n phuulo.n kii galiyaa.N
jis taraf hotii hai nazar terii us taraf qaayanaat hotii hai
zikr hotaa hai jab ...
tuu niGaaho.n se naa pilaa_e to ashq bhii piine vaale piite hai.n
vaise jiine ko to tere bin bhii is zamaane me.n log jiite hai.n
zindagii to usii ko kahate hai.n jo guzar tere saath hotii hai
zikr hotaa hai jab ...
|