aah ko chaahiye ek umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii
haa.N
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
haa.N
kaun jiitaa hai
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
haa.N
kaun jiitaa hai terii
aashiqii sabr-talab haay aur tamannaa betaab
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa ra.ng karuu.N Kuun-e-jigar hone tak
haa.N
dil kaa kyaa ra.ng karuu.N
haa.N
dil kaa kyaa ra.ng karuu.N
hamane maanaa ke taGaaful naa
haa.N
hamane maanaa ke taGaaful na karoge lekin
hamane maanaa ke taGaaful na karoge he lekin
Kaak ho jaaye.nge
Kaak ho jaaye.nge ham tum ko Kabar hone tak
haa.N
Kaak ho jaaye.nge ham tum ko Kabar hone tak
haa.N
Kaaq ho jaaye.nge
yak nazar besh nahii.n
yak nazar besh nahii.n furasat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
haa.N
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
haa.N
garmii-e-bazm hai
% in following sher:
% juz: other than, marg: maut
Gam-e-hastii kaa asad kis se ho juz marg ilaaj -2
shamaa har ra.Ng me.n jalatii hai sahar hone tak
haa.N
shamaa har ra.Ng me.n
|