giitaayan An Interface to ISB

ek hai apanii zamii.n ... aawaaz do ham ek hai.n - (Non-Film)  

Lyrics: Jan Nisar Akhtar | Music: Khayyam | Singer(s): Rafi, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
ra : ek hai apanii zamii.n ek hai apanaa gagan ek hai apanaa jahaa.N ek hai apanaa watan apane sabhii sukh ek hai.n apane sabhii Gam ek hai.n aawaaz do aawaaz do ham ek hai.n ham ek hai.n ko : aawaaz do aawaaz do ham ek hai.n ham ek hai.n ra : ye waqt khone kaa nahii.n ye waqt sone kaa nahii.n jaago watan Katare me.n hai saaraa chaman Katare me.n hai phuulo.n ke chehare zard hai.n zulfe.n fizaa kii gard hai.n umaDaa hu_aa tuufaan hai naraGe me.n hindostaan hai dushman se nafarat farz hai ghar kii hifaazat farz hai bedaar ho bedaar ho aamaadaa-e-paikaar ho ko : aawaaz do aawaaz do ham ek hai.n ham ek hai.n ra : ye hai himaalaa kii zamii.n taaj-o-ajantaa kii zamii.n sa.ngam hamaarii aan hai chittau.D apanii shaan hai gulamarg kaa mahakaa chaman jamanaa kaa taT gokul kaa ban ga.ngaa ke dhaare apane hai.n ye sab hamaare apane hai.n kah do ko_ii dushman nazar uTThe na bhuule se idhar kah do ke ham bedaar hai.n kah do ke ham taiyaar hai.n ko : aawaaz do aawaaz do ham ek hai.n ham ek hai.n ra : uTho jawaanaan-e-watan baa.Ndhe huye sar se qafan uTho dakkan kii or se ga.ng-o-jaman kii or se pa.njaab ke dil se uTho sataluj se saahil se uTho maharaaShTr kii Kaaq se dillii kii arz-e-paak se ba.ngaal se gujaraat se kashmiir ke baaGaat se nefaa se raajasthaan se gulakhaa ke hindustaan se ko : aawaaz do aawaaz do ham ek hai.n ham ek hai.n -5
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.