giitaayan An Interface to ISB

ye kaun sakhii hai.n ... chhan chhan chhan chhan - The One And Only Malika Pukhraj (Non-Film)  

Lyrics:  | Music:  | Singer(s): Malika Pukhraj, Male voice 
View in Nagari (Hindi)
##Male voice## : ye kaun sakhii hai.n jinake lohuu kii asharafiyaa.N chhan chhan chhan chhan pu : ye kaun sakhii hai.n -2 jinake lohuu kii asharafiyaa.N chhan chhan chhan chhan chhan chhan ye kaun sakhii hai.n ##Male voice## : ye kaun sakhii hai.n jinake lohuu kii asharafiyaa.N chhan chhan chhan chhan dharatii kii paiham pyaasii kashakol me.n Dhalatii jaatii hai kashakol ko bharatii jaati hai chhan chhan chhan chhan pu : dharatii kii paiham pyaasii kashakol me.n Dhalatii jaatii hai kashakol ko bharatii jaati hai chhan chhan chhan chhan chhan chhan ye kaun sakhii hai.n ##Male voice## : ye kaun jawaa.N hai.n arz-e-watan ye lakh-luT jinake jisamo.n kii bharapuur jawaanii kaa ku.ndan jyuu.N Kaak me.n rezaa-rezaa hai jyuu.N kuuche-kuuche bikharaa hai chhan chhan chhan chhan pu : ye kaun jawaa.N hai.n arz-e-watan ye lakh-luT jinake jisamo.n kii bharapuur jawaanii kaa ku.ndan yuu.N Kaak me.n rezaa-rezaa hai yuu.N kuuche-kuuche bikharaa hai chhan chhan chhan chhan chhan chhan ye kaun sakhii hai.n ##Male voice## : ai arz-e-watan ai arz-e-watan kyuu.N no.nch ke ha.Ns-ha.Ns phe.nk diye in aa.Nkho.n ne apane niilam in ho.nTho.n ne apane marajaa.N in haatho.n kii bekal chaa.Ndii kis kaam aa_ii kis haath lagii chhan chhan chhan chhan pu : ai arz-e-watan ai arz-e-watan kyuu.N no.nch ke ha.Ns-ha.Ns phe.nk diye in aa.Nkho.n ne apane niilam in ho.nTho.n ne apane marajaa.N in haatho.n kii bekal chaa.Ndii kis kaam aa_ii kis haath lagii chhan chhan chhan chhan chhan chhan ye kaun sakhii hai.n ##Male voice## : ai puuchhane waale paradesii ai puuchhane waale paradesii ye tifl-o-jawaa.N us nuur ke nauras motii hai.n us aag kii kachchii kaliyaa.N hai.n jis miiThe nuur aur ka.Dawii aag se zulm kii a.ndhii raat me.n phuuTaa subah-e-bagaawat kaa gulashan aur subaho hu_ii man-man tan-tan in jismo.n kaa chaa.Ndii-sonaa in cheharo.n ke niilam marajaa.N jagamag-jagamag raKsaa.N-raKsaa.N jo dekhanaa chaahe paradesii paas aaye dekhe jii bhar kar ye ziist kii raanii kaa jhuumar ye amn kii devii kaa ka.ngan chhan chhan chhan chhan pu : ai puuchhane waale paradesii ye tifl-o-jawaa.N us nuur ke nauras motii hai.n us aag kii kachchii kaliyaa.N hai.n jis miiThe nuur aur ka.Dawii aag se zulm kii a.ndhii raat me.n phuuTaa subah-e-bagaawat kaa gulashan aur subaho hu_ii man-man tan-tan in jismo.n kaa chaa.Ndii-sonaa in cheharo.n ke niilam marajaa.N jagamag-jagamag raKsaa.N-raKsaa.N jagamag-jagamag raKsaa.N-raKsaa.N jo dekhanaa chaahe paradesii paas aaye dekhe jii bhar kar ye ziist kii raanii kaa jhuumar ye amn kii devii kaa ka.ngan chhan chhan chhan chhan chhan chhan ye kaun sakhii hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.