ab ke baras bhej bhaiyaa ko baabul
saavan ne liijo bulaay re
lauTe.ngii jab mere bachapan kii sakhiiyaa.N
dejo sa.ndeshaa bhiyaay re
ab ke baras bhej bhiiyako baabul ...
ambuvaa tale phir se jhuule pa.De.nge
rimajhim pa.De.ngii phuhaare.n
lauTe.ngii phir tere aa.Ngan me.n baabul
saavan kii Tha.nDii bahaare.n
chhalake nayan moraa kasake re jiyaraa
bachapan kii jab yaad aae re
ab ke baras bhej bhiiyako baabul ...
bairan javaanii ne chiine khilaune
aur merii gu.Diyaa churaaii
baabul kii mai.n tere naazo.n kii paalii
phir kyo.n huii mai.n paraaii
biite re jag koii chiThiyaa na paatii
na koii naihar se aaye, re
ab ke baras bhej bhiiyako baabul ...
|