e musavvir tere haatho.n kii balaa_e.N le luu.N
Kuub tasviir banaa_ii mere bahalaane ko
kuchh aisii pyaarii shakl mere dilarubaa kii hai
jo dekhataa hai kahataa hai qudarat Kudaa kii hai
kuchh aisii pyaarii ...
is saadaGii ko kyaa hai zaruurat si.ngaar kii
diivaanii khud hai is par javaanii bahaar kii
duniyaa me.n dhuum usake hii naaz-o-adaa kii hai
jo dekhataa hai ...
nazaro.n ke ek tiir se sa.nsaar jii uThe
zulfo.n kii chhaa.Nv Daal de biimaar jii uThe
aa.Nchal ke taar me.n Tha.nDak havaa kii hai
jo dekhataa hai ...
saayaa nahii.n hai jisakaa yahii hai vo naazanii.n
aisaa zamiin par ko_ii aayaa nahii.n hasii.n
gaalo.n pe jo bhii ra.ng hai laalii hayaa kii hai
jo dekhataa hai ...
|