giitaayan An Interface to ISB

baaGo.n me.n phuul kisane khilaa_e hai.n maine to nahii.n - Night In London (1967)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
la : baaGo.n me.n phuul kisane khilaa_e hai.n ra : maine to nahii.n maine to nahii.n la : chor kaun taare kisane churaa_e hai.n ra : maine to nahii.n maine to nahii.n taubaa la : taubaa kaa savaal kyaa taubaa maine kii nahii.n ra : kaisaa ye suruur hai maine pii hai jii nahii.n phir mere hosh kisane u.Daa_e hai.n ra : maine to nahii.n maine to nahii.n la : aaKir is jahaan me.n hotii hai ye baat kyo.n do aur do jamaa kare.n to banate nahii.n paa.Nch kyo.n do aur do chaar kisane banaa_e hai.n ra : maine to nahii.n maine to nahii.n la : ye jo dil ke saaz the vo to be-aavaaz the tere mere pyaar ke afasaane to raaz the raaz sabako ye kisane bataa_e hai.n tuune to nahii.n tuune to nahii.n ra : maine to nahii.n maine to nahii.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.