giitaayan An Interface to ISB

apanaa jinhe.n banaayaa Thukaraa ke wo sidhaare - Natak (1947)  

Lyrics: Khumar Barabankwi | Music: Naushad | Singer(s): Suraiya 
View in Nagari (Hindi)
apanaa jinhe.n banaayaa Thukaraa ke wo sidhaare -3 TuuTe.n na is tarah se dushman ke bhii sahaare -3 dil kii har ek dha.Dakan fariyaad ho ga_ii hai aabaad thii jo duniyaa barabaad ho ga_ii hai dar-dar bhaTak rahe hai.n ham ra.nj-o-Gam ke maare -3 aa.Nkhe.n kahaa.N se laaye.n ye dekhane ko haay ko_ii kisii ko khoye ko_ii kisii ko paaye ha.Ns kar ko_ii guzaare ro kar ko_ii guzaare -3 biga.De na yuu.N muqaddar badale na yuu.N zamaanaa apane liye qafas hai apanaa hii aashiyaanaa hai.n aaj wo paraaye kal tak jo the hamaare -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.