mujh ko Kudaa ne de diyaa pyaar teraa jo saathiyaa
maano jaise mil gayaa hai jannat kaa rastaa
mai.n chalatii thii raaste ik ma.nzil ke vaaste
tujh se mil ke yuu.N lagaa jaanaa mujh ko hai kahaa.N
ham dono.n kaa milanaa thaa jaanaa.n
pyaar yuu.n hii ye khilanaa thaa jaanaa.n
merii aa.Nkho.n me.n merii saa.Nso.n me.n
bas tuu hii hai jaanaa.n
mujh ko Kudaa ne de diyaa ...
tuu rahe to rahe merii zi.ndagii kahataa huu.N rab se
sa.ng tere bitaa_uu.N mai.n har khushii ab se yahii.n se
teraa naam merii zubaa.n se na jaa_e
jo tuu naa rahe to merii jaan jaa_e
merii aa.Nkho.n me.n merii saa.Nso.n me.n
bas tuu hii hai jaanaa.n
mujh ko Kudaa ne de diyaa ...
faasale ho rahe hai.n kam jaan-e-man kam bas ek pal me.n
ek jaa.n ban ga_e hai.n ye do badan bas ek pal me.n
ye jo bhii nashaa hai ba.Daa hii mazaa hai
yahaa.N dha.Dakano.n kii yahii to sadaa hai
merii aa.Nkho.n me.n merii saa.Nso.n me.n
bas tuu hii hai jaanaa.n
mujh ko Kudaa ne de diyaa ...
|