solahave.n saavan se bha.Nvaro.n ke daaman se
cha.Dhatii javaanii se baarish ke paanii se
man ba.Daa ghabaraa_e
haay raam bachaa_e mujhe raama bachaa_e
haay raam
are raam
haay raam bachaa_e ...
pahale hii din haay nikalii jo ghar se
bach naa sakii aashiqo.n kii nazar se
kahane lage aaj aa_ii hai dekho
parii aasamaa.n kii zamii.n pe utar ke
in gore gaalo.n pe haay haay
in kaale baalo.n pe uu.N haay
are in gore gaalo.n pe in kaale baalo.n pe
aa.Nkho.n ke kaajal pe naagin sii chaalo.n pe
har ko_ii luT luT jaa_e haay haay
raam bachaa_e ...
badalii khyaalo.n kii chhaTatii nahii.n hai
tanhaa shaame.n ye kaTatii nahii.n hai.n
pyaas ho.nTho.n pe aisii rukii hai jo
bhiigii ghaTaa_o se bujhatii nahii.n hai
de de du_aa ko_ii haay haay
yaa de davaa ko_ii haay
de de du_aa ko_ii yaa de davaa ko_ii
puurab se aa_ii hai aisii havaa ko_ii
dil u.Daa hii jaa_e haay haay
haay raam bachaa_e ...
ra ra ra ra raam bachaa_e ...
|