giitaayan An Interface to ISB

aayaa kahaa.n se maal usako pataa hai - Pyaasa (2002)  

Lyrics: Narendra Bedi | Music: Sanjeev-Darshan | Singer(s): Sudesh Bhonsale, Narendra Bedi, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
aayaa kahaa.n se maal usako pataa hai kisako pataa hai are usako pataa hai kii kaise jhol jhaal usako pataa hai kisako pataa hai are baabaa usako pataa hai meraa bhii chhoTaa saa sapanaa hai yaar chaahiye ik ba.ngalaa aur ##imported car## khelataa huu.N laa.cTarii ye soch ke har baar ban jaa_uu.N mai.n bhii phir arabapati yaar kyaa hogii merii chaal usako pataa hai ... ta.ng galii chau.Daa baazaar me.n vo mujhe milii maine puuchhaa naam kyaa hai kahane lagii lilii usakii javaanii thii phuul jaisii khilii luT ga_e kitano.n ke dil kamar jo usakii hilii mai.n kyuu.N hu_aa behaal usako pataa hai ... makhamal saa chikanaa badan lage mere yaar kaa har pal mai.n rahataa huu.N pyaasaa diidaar kaa kahataa hai dil use dekhuu.N baar baar usakii adaa me.n hai.n nakhare hazaar hai.n ho.nTh laal laal usako pataa hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.