yahaa.n vahaa.n idhar udhar
dono.n taraf aag hai lagii
dono.n taraf pyaas hai jagii
dono.n taraf ek jaisaa haal
dono.n taraf dil hai bekaraar
isii ko to kahate hai.n pyaar
haa dono.n taraf ...
huu.n kahii.n kahii.n khilate hai ye phuul
kabhii kabhii hotii hai ye bhuul
kisii kisii ko ye nashaa ko_ii ko_ii dil kaa khariidadaar
jummaa jummaa hu_e saat din terii merii mulaakaat ko
nii.nd nahii.n aatii raat ko jiinaa meraa hu_aa dushvaar
isii ko to kahate ...
yaad bahut aate ho tum aake chale jaate ho tum
abhii aanaa jaanaa chho.D ke dil me.n samaa jaa_o mere yaar
baiTh jaa tuu mere saamane mai.n terii tasviir khii.nch luu.n
jab bhii jahaa.n bhii mai.n chaahuu.n kar luu.n teraa diidaar
isii ko to kahate ...
|