adaa bijalii, badan sholaa, bha.Nve kha.njar, nazar qaatil
galat kyaa hai hame.n kahatii hai ye duniyaa agar qaatil
to phir
nigaah-e-naaz ke maaro.n kaa haal kyaa hogaa
na bach sake to bechaaro.n kaa haal kyaa hogaa
hamii ne ishq ke (zaraa dekho) qaabil banaa diyaa hai tumhe
hamii na ho to nazaaro.n kaa haal kyaa hogaa
hamaare husn kii bijalii chamakne vaalii hai
na jaane aaj hazaro.n kaa haal kyaa hogaa
bahaar-e-husn salaamat khizaa se puuchh zaraa
kyaa? ke chaar din me.n bahaaro.n kaa haal kyaa hogaa
ra.ng par naaz na kar kyo.n kii ra.ng badal jaataa hai
ye vo mahamaa.N hai jo aaj aataa hai kal jaataa hai
ishq par naaz kare ko_i to kuchh baat bhii hai
husn kaa naaz hii kyaa, husn to Dhal jaataa hai
bahar-e-husn salaamat khizaa se puuchh zaraa
ke chaar din me.n bahaaro.n kaa haal kyaa hogaa
## tarana ##
ham apane chehare se pad.raa uThaa to de lekin
gariib chaa.Nd-sitaaro.n kaa haal kyaa hogaa
muqaabalaa hai to phir der kyaa hai tiir chalaa
|