giitaayan An Interface to ISB

du_aa kyaa ra.ng laa_ii hai ... diivaane dil ke diivaane aa_e hai.n jaan luTaane - Paap Kaa Ant (1989)  

Lyrics: Anjaan | Music: Bappi Lahiri | Singer(s): Kavita Subramaniam, Mohammed Aziz 
View in Nagari (Hindi)
du_aa kyaa ra.ng laa_ii hai nashiilii raat aa_ii hai nashaa kyaa dil pe chhaayaa hai duhaa_ii hai duhaa_ii diivaane dil ke diivaane aa_e hai.n jaan luTaane a.njaam kyaa hogaa teraa jaan-e-tamannaa tujhe ye nahii.n hai pataa diivaane dil ke a.njaam se Daranaa kaisaa ho jaa_egaa aaj teraa meraa faisalaa diivaane dil ke ba.Daa ra.ngiin jahaa.n hai qayaamat kaa ye samaa.n hai dil me.n aag lagii hai uThaa mahafil me.n dhu_aa.n hai abhii to jaam Dhale.nge abhii to daur chale.nge nashe ke ra.ng ghule.nge dilo.n ke raaz khule.nge yahaa.n kise kisane luuTaa diyaa kisane yahaa.n dhokhaa rukh-e-roshan se ye pardaa jo uThaa duu.n mai.n to kyaa hogaa chalii aa_ii hai kahaa.n se tuu yahaa.n se bach ke nikal jaa luTe na muft me.n merii jaa.n abhii hai vaqt sa.mbhal jaa kisame.n yahaa.n kitanaa dam hai dekhuu.n re dekhuu.n re dekhuu.n re mai.n bhii zaraa diivaane dil ke ... tere sadake tere qurbaa.n tere jalave hai.n yaa tuufaa.n kahaa.n aake kahaa.n rakh dii nishaane par yahaa.n ye jaa.n are ye jaa.n are ye jaa.n abhii parde se hai pardaa raaz raaz abhii hai hathelii par ye jaa.n leke ye saarii umr kaTii hai uThaa pardaa dikhaa jalavaa zaraa dekhuu.n to tuu kyaa hai sulagate tere siine me.n dabii ye aarazuu kyaa hai kyo.n jhuuThii zid pe a.Daa hai mere piichhe kyo.n pa.Daa hai ye raahe.n sholo.n se bharii hai.n jahaa.n is vaqt kha.Daa hai zid ye tujhe suujhii kyaa hai jaanuu.n re jaanuu.n mai.n jaanuu.n mai.n iraadaa teraa diivaane dil ke ... mai.n gazab huu.N mai.n balaa huu.N mujhe na haath lagaanaa nahii.n mumakin mere dil ko khilaunaa aise banaanaa gazab ho yaa balaa ko_ii yahaa.n kaThaputalii ban jaa_e merii mahafil me.n aake husn ko_ii bach na jaa_e ye maanaa terii mahafil me.n terii manamaanii chalatii hai phuu.nk de saarii mahafil ko shamaa.n jab aisii jalatii hai agar hamase ulajhegaa tuu yaad rakh tuu pachhataa_egaa u.De.nge phir aise shole khaaq me.n tuu mil jaa_egaa khule.ngii jab terii aa.Nkhe.n tujhe raste pe laa_e.nge kaam jo karane aa_e hai.n kaam vo kar ke jaa_e.nge karuu.ngaa faisalaa jo mai.n yahaa.n vo faisalaa hogaa mujhe maaluum hai kisakaa yahaa.n a.njaam kyaa hogaa jise na maut kaa Dar ho vo apanii jaan par khele gha.Dii hai aakharii terii Kudaa kaa naam tuu le le jaan rahe chaahe jaa_e kar jaa_e.nge aaj ham bhii teraa faisalaa diivaane dil ke ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.