giitaayan An Interface to ISB

nikale the kahaa.N jaane ke liye - Bahu Begum (1967)  

Lyrics: Sahir | Music: Roshan | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
nikale the kahaa.N jaane ke liye, pahu.nche hai kahaa.N maalUm nahii.n ab apane bhaTakate qadamo.n ko, ma.njil kA nishaan maalUm nahii.n hamane bhI kabhI is gulshan me.n, ek khvaab-e-bahaara dekhaa thaa kab phuul jhare, kab gard u.Dii, kab aa_ii khizaa.n maalUm nahii.n dil sholaa-e-Gam se khaak huA, yA aag lagI aramAno.n me.n kyA chiiz jalii kyuu.n siine se uThaa hai dhuaa.n maalUm nahii.n barabaad vafaa kA afasaanaa ham kise kahe.n aur kaise kahe.n khaamosh hai.n lab aur duniyA ko ashko.n kI zubaa.n maalUm nahii.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.