giitaayan An Interface to ISB

mere man kaa mausam badalane lagaa hai - Pyaar Deewaanaa Hotaa Hai (1992)  

Lyrics: Madan Pal | Music: Babul Bose | Singer(s): Alka Yagnik, Mohammed Aziz 
View in Nagari (Hindi)
mere man kaa mausam badalane lagaa hai tere naam se dil dha.Dakane lagaa hai teraa pyaar siine me.n palane lagaa hai mere man kaa mausam ... nazar se nazar ne kahii vo kahaanii jo ham tum kabhii kah naa paa_e jubaanii ham ek duuje me.n aise kho_e hu_e hai.n na jaage hu_e hai.n na so_e hu_e hai.n ye jaaduu na jaane kyaa chalane lagaa hai mere man kaa mausam ... jahaa.n tak nazar jaa_e bas tuu hii tuu hai tujhe paa ke ab kuchh nahii.n aarazuu hai chale hai.n kadam ma.nzilo.n se bhii aage kahaa.n khii.nch laa_e mohabbat ke dhaage ye kis ra.ng me.n ishq Dhalane lagaa hai mere man kaa mausam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.