giitaayan An Interface to ISB

kaise manaa_e.N diivaalii ... baarah mahiine diivaalaa - Paighaam (1959)  

Lyrics: Pradeep | Music: C Ramchandra | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
kaise manaa_e.N diivaalii ham laalaa apanaa to baarah mahiine diivaalaa ham to hu_e dekho Than Than gopaalaa apanaa to baarah mahiine ... duniyaa ye baabuu ba.Dii besharam are karatii hai cha.mpat paraa_ii rakam chalato.n ne kar lii hai muTThii garam bilkul hii ulluu ke paTThe hai.n ham hamaare se to achchhaa hai bani_e kaa saalaa apanaa to baarah mahiine ... mar-mar ke ham roz mehanat kare.n aur yaaro.n ko dekho tijorii bhare.n din-raat ham to gulaamii kare.n phokaT me.n ye saa.nD chare.n banake hamaare ho.nTho.n pe taalaa apanaa to baarah mahiine ... ham to khicha.Dii hii khaate rahe are halavaa lafa.nge u.Daate rahe ham muft me.n jhaa.Duu lagaate rahe ga.ngaa me.n gadhe nahaate rahe daataa terii akl ko hai kaay jhaalaa apanaa to baarah mahiine ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.