aaj andhere ko miTaanaa hogaa ik nayaa diip jalaanaa hogaa
aaj kuchh bhuulii hu_ii yaado.n ko apanii paayal se jagaanaa hogaa
ai mere soye hu_e pyaar zaraa hosh me.n aa -2
ho chukii nii.nd bahut jaag zaraa hosh me.n aa
ye udaasii to naa thii terii aa.Nkho.n me.n kabhii
giit gaane ke hai.n din kyuu.N udaasii hai lagii
apane ho.nTho.n pe zaraa pyaar ke giito.n ko bhii laa
ai mere soye hu_e ...
kyaa hu_ii terii ha.Nsii kyaa hu_ii terii adaa
terii mahafil kaa samaa.N kabhii aisaa to na thaa
phir vo hii dhuum machaa phir vo hii andaaz dikhaa
ai mere soye hu_e ...
vaastaa pyaar kaa yuu.N dekh le ek nazar
yaa mujhe itanaa bataa merii ma.nzil hai kidhar
terii duniyaa hai jahaa.N merii duniyaa bhii vahaa.N
chho.D kar dar ye teraa aur jaa_uu.N mai.n kahaa.N
yaa to khud hosh me.n aa yaa mujhe behosh banaa -2
ai mere soye hu_e ...
|