giitaayan An Interface to ISB

gorii nain tumhaare kyaa kahane - Purnima (1965)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
gorii nain tumhaare kyaa kahane -2 baalo.n me.n saavan kii ghaTaa gaalo.n pe puunam kii chhaTaa ghu.NghaTaa haTaa gorii nain tumhaare ... cha.nchal-cha.nchal chaal tumhaarii hiranii dhokhaa khaa_e goraa-goraa dekhake mukha.Daa chandaa chhup-chhup jaa_e baat kare to phuul jhare.n muskaa_e to ra.ng bhare.n zulm kare.n gorii nain tumhaare ... pal me.n maare pal me.n jilaa_e chhup-chhup baan chalaa_e niilakamal se in naino.n kaa bhed samajh naa aa_e kabhii-kabhii to pyaar kare.n kabhii-kabhii takaraar kare.n ras ke bhare gorii nain tumhaare ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.