giitaayan An Interface to ISB

tumhii.n mere miit ho tumhii.n merii priit ho - Pyase Panchhi (1961)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Hemant, Suman 
View in Nagari (Hindi)
la : tumhii.n mere miit ho tumhii.n merii priit ho -2 tumhii.n merii aarazuu kaa pahalaa-pahalaa giit ho he : tumhii.n mere miit ho tumhii.n merii priit ho -2 tumhii.n merii zindagii kii pahalii-pahalii jiit ho tumhii.n mere miit ho ... la : tum ho bechain sai.nyaa ham beqaraar se jaane na duu.Ngii tumako naino.n ke dvaar se -2 he : terii nigaaho.n ne dekhaa hai pyaar se milaa aaj pyaasaa pa.nchhii nadiyaa kii dhaar se la : tumhii.n chitachor mere tumhii.n dil kii jiit ho tumhii.n merii aarazuu ... he : tuu kisii baaGabaa.N ke gulashan kaa phuul hai chhup-chhup ke tujhako chaahaa raahii kii bhuul hai la : raahii kii bhuul nahii.n qismat kii bhuul hai qismat kii bhuul sai.nyaa hamako qabuul hai mere dil ke saaz tumhii.n tumhii.n sa.ngiit ho tumhii.n merii aarazuu ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.