giitaayan An Interface to ISB

o mai.n royaa parades me.n, bhiigaa maa.N kaa pyaar - (Non-Film)  

Lyrics: Nida Fazli | Music: Jagjit Singh | Singer(s): Jagjit Singh 
View in Nagari (Hindi)
o mai.n royaa parades me.n, bhiigaa maa.N kaa pyaar dukh ne dukh se baat kii, bin chiThThii bin taar chhoTaa karake dekhiye, jiivan kaa vistaar aa.Nkho.n bhar aakaash hai, baaho.n bhar sa.nsaar e leke tan ke naap ko, ghuume bastii gaa.Nv har chaadar ke gher se baahar nikale paa.Nv sabakii puujaa ek sii, alag-valag har riit masjid jaae maulvii, koyal gaae giit puujaa ghar me.n muurtii, miira ke sa.ng shyaam jisakii jitanii chaakarii, utane usake daam saato.n din bhagavaan ke, kyaa ma.ngal kyaa piir jis din soe der tak, bhuukaa rahe fakiir achchhii sa.ngat baiThakar, sa.ngii badale ruup jaise milakar aam se, miiThii ho ga_ii dhuup sapanaa jharnaa nii.nd kaa, jaagii aa.Nkhe.n pyaas paanaa khonaa khojanaa, saa.Nso.n kaa itihaas chaahe giitaa vaachie, yaa pa.Dhie quraan meraa teraa pyaar hii, har pustak kaa GYaan
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.