ik parii mere sapano.n me.n aa_ii
usane duniyaa hii merii badal dii
mere sapano.n me.n vo muskuraa_ii
aur meraa dil churaa ke vo chal dii
chal dii chal dii
dil churaa ke chal dii
chal dii chal dii
khoyaa maine chain aur paa_ii maine ye pareshaanii
kahe.n mere nain hame.n chaahiye vo sapano.n kii raanii
Dhuu.nDh use jaldii
jaldii jaldii
are dil churaa ke ...
aa_o use Dhuu.nDhe.nge chalo naa
chhaan maare.n ham konaa konaa
use kaise Dhuu.nDhe.n samajhaa_o to
dekhane me.n kaisii hai bataa_o to
he zulfo.n me.n chhaa.nv hai chehare pe dhuup hai
sone kaa ruup hai aisii hai vo
he Dhuu.nDh use jaldii
jaldii jaldii
are dil churaa ke ...
sochuu.n mai.n to dil ghabaraa_e
hogaa kyaa jo vo na mil paa_e
milegii vo sapano.n kii raanii
yaar karo ko_ii to nishaanii
lachakiilii chaal hai phuulo.n kii Daal hai
vo bemisaal hai aisii hai vo
he Dhuu.nDh use jaldii
jaldii jaldii
are dil churaa ke ...
|