giitaayan An Interface to ISB

raakhii kaa aayaa tyohaar sakhii - Rakhi (1949)  

Lyrics: Sarshar Sailani | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Shamshad 
View in Nagari (Hindi)
raakhii kaa aayaa tyohaar sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar more bhaiyaa jiye.n jale.n ghar me.n diye mai.n usii ke li_e baa.Ndhuu.N raakhii me.n aashaa ke taar sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ... uThe man me.n uma.ng jaise saagar me.n tara.ng jaise bagiyaa me.n aa_ii bahaar sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ... dekhii duniyaa kii riit bahan bhaa_ii kii priit gaa_o Kushii ke giit more baabul ke ghar kaa si.ngaar sakhii sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ... yuu.N baa.Ndhane ko baa.Ndho ko_ii hazaar dhaage lekin hazaar par hai.n raakhii ke chaar dhaage chaar dhaago.n me.n ba.Ndhaa hai pyaar sakhii raakhii kaa aayaa tyohaar ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.