giitaayan An Interface to ISB

bastii\-bastii parvat\-parvat gaataa jaa_e ba.njaaraa - Railway Platform (1955)  

Lyrics: Sahir | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi/ Manmohan Krishan 
View in Nagari (Hindi)
bastii-bastii parvat-parvat gaataa jaa_e ba.njaaraa leke dil kaa ikataaraa bastii-bastii parvat-parvat ... pal do pal kaa saath hamaaraa pal do pal kii yaarii aaj nahii.n to kal karanii hai ( chalane kii taiyaarii ) -2 bastii-bastii parvat-parvat ... qadam-qadam par honii baiThii apanaa jaal bichhaa_e is jiivan kii raah me.n jaane ( kaun kahaa.N rah jaa_e ) -2 bastii-bastii parvat-parvat ... dhan-daulat ke piichhe kyo.n hai ye duniyaa diivaanii yahaa.N kii daulat yahaa.N rahegii ( saath nahii.n ye jaanii ) -2 bastii-bastii parvat-parvat ... sone-chaa.Ndii me.n tulataa ho jahaa.N dilo.n kaa pyaar aa.Nsuu bhii bekaar vahaa.N par ( aahe.n bhii bekaar ) -2 bastii-bastii parvat-parvat ... duniyaa ke baazaar me.n aaKir chaahat bhii vyaapaar banii tere dil se unake dil tak ( chaa.Ndii kii diivaar banii ) -2 bastii-bastii parvat-parvat ... ham jaiso.n ke bhaag me.n likhaa chaahat kaa varadaan nahii.n jisane hamako janam diyaa vo ( patthar hai bhagavaan nahii.n) -2 bastii-bastii parvat-parvat ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.