aatii hai to chal mere saath me.n
de de saathiyaa haatho.n ko haath me.n
rahanaa hai har pal ab tere saath me.n
le le saathiyaa haatho.n ko haath me.n
mor ke sa.ng hai moranii saavan ke saath ghaTaa
nadii ke sa.ng naa.nv hai mausam ke saath havaa
aatii hai to chal ...
tuu jo muskuraa_e khil jaa_e.n gu.nche gulazaar ke
terii choTiyo.n me.n raanii mahake.n phuul bahaar ke
par hai.n suhaane tere miiThe miiThe bol re
aa re jaa o bha.nvare naa aage piichhe Dol re
zor pe hai purava_iyaa dupaTTaa u.D naa jaa_e
kalaa_ii tuu jo paka.De merii chuu.Dii sharamaa_e ho ho
aatii hai to chal ...
mere sapano.n kii paayal chhanake gore paa.nv me.n
zaraa der baiThe.n aaj ham palako.n kii chhaa.nv me.n
saa.Nso.n me.n sitaar pe hamajolii teraa naam hai
terii merii priit kii paavan sinduurii shaam hai
duur vaadii me.n jaa_e kisii dulhan kii Dolii
saje hai.n aramaa.n aise sajii jaisii ra.ngiilii
aatii hai to chal ...
|