giitaayan An Interface to ISB

hamako hu_aa hai pyaar bataa_o ham kyaa kare.n - Sainik (1993)  

Lyrics: Sameer | Music: Nadeem-Shravan | Singer(s): Alka Yagnik, Vinod Rathod 
View in Nagari (Hindi)
hamako hu_aa hai pyaar bataa_o ham kyaa kare.n ab jiinaa hu_aa dushvaar bataa_o ham kyaa kare.n hamako hu_aa hai pyaar ... hamane tumhe.n dekhaa sanam dil diivaanaa ho gayaa aa.Nkh la.Dii baat ba.Dhii chain kahii.n kho gayaa hamako mohabbat me.n milii.n itanii bekaraariyaa.N ab to sahii jaa_e.n na kahii.n tho.Dii sii bhii duuriyaa.N are nainaa hu_e hai.n chaar bataa_o ham kyaa kare.n hamako hu_aa hai pyaar ... ko_ii yahaa.N kuchh bhii kahe ham nahii.n maane.nge dard-e-jigar kyaa hai sanam log nahii.n jaane.nge saaraa jahaa.N bhuul ga_e ham diivaanepan me.n hamane basaayaa hai tumhe.n dilarubaa darpaN me.n lo hamane kiyaa ikaraar bataa_o ham kyaa kare.n hamako hu_aa hai pyaar ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.