ku : mai.n nahii.n kahataa bujurgo.n ne kahaa hai
jo kahaa hai vo bhii kitanaa sach kahaa hai
thak kar ruk jaanaa jinhe.n ma.nzuur nahii.n hai
unake li_e ko_ii bhii ma.nzil duur nahii.n hai
mai.n nahii.n kahataa ...
zi.ndagii dariyaa hai ek bahataa hu_aa
rokane se jo kabhii rukataa nahii.n hai -2
aa : aur himmat ho agar insaan me.n
mushqilo.n ke saamane jhukataa nahii.n
mai.n nahii.n kahatii ...
ku : jo kahaa hai vo ...
aa : jo kahaa hai vo ...
ku : maut kab aa_egii isakaa faisalaa
zindagii milane se pahale ho chukaa
phir ye kaisaa Dar dilo.n me.n maut kaa
kyo.n pareshaa.n ho rahe hai.n ham bhalaa
mai.n nahii.n kahatii ...
aa : jo kahaa hai vo ...
zindagii zindaadilii kaa naam hai
maut kaa charchaa bhalaa ham kyo.n kare.n -2
aisii baate.n jin par hamaaraa bas nahii.n
kyo.n na ham unako Kudaa par chho.D de.n
ku : mai.n nahii.n kahataa ...
aa : jo kahaa hai vo ...
|