mu : tumhaare li_e hu_e badanaam
na bhuule phir bhii tumhaaraa naam
tum jaano yaa na jaano ( tumhaarii marzii ) -2
sha : jaa_o jii jaa_o aa_e ba.De ( mohabbat karane vaale ) -2
hame.n chho.D kar biich nadii me.n ( paar utarane vaale ) -2
mu : chaahe laakho.n do ilzaam
ham to kab se bane gulaam
tum maano yaa na maano ( tumhaarii marajii ) -2
sha : tum paradesii paradesii
tum paradesii tum harajaa_ii phir kyaa hamase mel
jaa_o jaa kar aur kisii se khelo pyaar kaa khel
mu : hame.n auro.n se kyaa kaam
tumhaare binaa nahii.n aaraam
tum jaano yaa na jaano ( tumhaarii marzii ) -2
sha : tum bhii zaraa jalane kaa mazaa lo ( hame.n jalaane vaale ) -2
ham kyaa jaane.n kaun ho tum o ( hame.n manaane vaale ) -2
mu : ham to aa_e.Nge subah-shaam
ham to kare.nge roj salaam
pahachaano naa pahachaano ( tumhaarii marzii ) -3
tumhaare li_e hu_e badanaam ...
|