giitaayan An Interface to ISB

ai dost mere maine duniyaa dekhii hai - Sachaai (1969)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi, Manna Day 
View in Nagari (Hindi)
ai dost mere maine duniyaa dekhii hai achchhii tarah apanii nazar se dekhii hai yahaa.N achchhaa buraa kaun hai pahachaananaa mushqil sach kii puujaa karane vaale hamane bhuukhe marate dekhe jhuuTh kaa daaman thaamane vaale hamane mauje.n karate dekhe phuulo.n kii sej par so kar jhuuThe ko aaraam naa aa_e lekin sachche ko pal bhar me.n kaa.NTo.n par nii.nd aa jaa_e ai dost mere ... jisakaa man ho saaf ( vo girakar ) -2 bhii uupar aataa hai chaa.Nd ko dekho jo ghaT-ghaT kar phir bhii aage ba.Dh jaataa hai jisakaa taaraa chamakaa sab ne ba.Dhakar usakaa saath diyaa girate ko yahaa.N kisane thaamaa kisane usako haath diyaa apanii to har subah holii apanii to har shaam diivaalii do din kii ye duniyaa saath nahii.n hai jaane vaalii ai dost mere ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.