giitaayan An Interface to ISB

paradesiyo.n se naa a.Nkhiyaa.n milaanaa - Jab Jab Phool Khile (1965)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
##Part 1 (Rafi)## paradesiyo.n se na a.Nkhiyaa.N milaanaa paradesiyo.n ko hai ek din jaanaa paradesiyo.n se na ... aatii hai jab ye rut mastaanii banatii hai koii na koii kahaanii abake baras dekhe bane kyaa fasaanaa sach hii kahaa hai pa.nchhii inako raat ko Thahare to u.D jaae.N din ko aaj yahaa.N kal vahaa.N hai Thikaanaa paradesiyo.n se na ... baaGo.n me.n jab-jab phuul khile.nge tab-tab ye harajaaii mile.nge guzaregaa kaise patajha.D kaa zamaanaa paradesiyo.n se na ... ----- ##Part 2 (Lata)## hamane yahii ek baar kiyaa thaa ek paradesii se pyaar kiyaa thaa aise jalaa ye dil jaise paravaanaa paradesiyo.n se na ... ye baabul kaa des chhu.Daae.N des se ye parades bulaae.N haay sune.n naa ye koii bahaanaa paradesiyo.n se na ... ----- ##Part 3 (Rafi)## pyaar se apane ye nahii.n hote ye patthar hai.n ye nahii.n rote inake liye naa aa.Nsuu bahaanaa, haay paradesiyo.n se na ... naa ye baadal naa ye taare ye kaaGaz ke phuul hai.n saare in phuulo.n ke na baaG lagaanaa paradesiyo.n se na ... hamane yahii ek baar kiyaa thaa ek paradesii se pyaar kiyaa thaa ro-roke kahataa hai dil ye diivaanaa paradesiyo.n se na ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.