ra: parbato.n ke pe.Do.n par shaam kaa baseraa hai
surama_ii ujaalaa hai, champa_ii a.ndheraa hai
su: dono.n vaqt milate hai.n do dilo.n kii suurat se
aasma.n ne khush hoke ra.Ng saa bikheraa hai
ra: Thahate-Thahare paanii me.n giit sar-saraate hai.n
bhiige-bhiige jho.nko.n me.n khushabu_o.n kaa Deraa hai
parbato.n ke pe.Do.n par ...
su: kyo.n na jazb ho jaae.n is hasiin nazaare me.n
roshanii kaa jhuramaT hai mastiyo.n kaa gheraa hai
parbato.n ke pe.Do.n par ...
ra: ab kisii nazaare kii dil ko aarzuu kyo.n hai
jab se paa liyaa tum ko sab jahaa.N meraa hai
do: jab se paa liyaa tum ko sab jahaa.N meraa hai
parbato.n ke pe.Do.n par ...
|