ra : tum laakh chhupaanaa chaahoge par pyaar chhupaa naa paa_oge
kachche dhaage se ba.Ndhe sarakaar chale aa_oge -2
la : tum laakh jataanaa chaahoge par pyaar jataa naa paa_oge
dil ko thaame haatho.n se Kaamosh chale aa_oge
ra : tumhaare chehare kii ra.ngat to ye bataatii hai
kisii kii yaad tumhe.n har gha.Dii sataatii hai
yah ulajhe-ulajhe baal muhabbat kaa raaz kahate hai.n
kamal se nain Kyaalo.n me.n Duube rahate hai.n
tumhaarii chaal me.n shoKii hai aur sharaarat hai
zaruur tumako kisii na kisii se ulfat hai
lo raaz khul gayaa ab kis li_e chhupaate ho
zamaanaa jaan gayaa hamako kyo.n banaate ho
tum laakh chhupaanaa ...
la : tumhaare ho.NTho.n pe har baat kaa.Np jaa_egii
lagii ye dil kii zubaa.N par kabhii na aa_egii
bataa_o kaise jataa_oge pyaar phir apanaa
na hogaa puuraa kabhii aarazuu kaa ye sapanaa
tumhe.n yah pyaar kii hasarat bahut sataa_egii
kabhii rulaa_egii tumako kabhii ha.Nsaa_egii
hamaare kuuche me.n aashiq hazaar aate hai.n
magar jo aate hai.n vo hosh bhuul jaate hai.n
tum laakh chhupaanaa ...
ra : hamaare hizr me.n tumako na nii.nd aa_egii
akelaa paa ke judaa_ii tumhe.n sataa_egii
ham apanii aah se patthar ko mom karate hai.n
ham apane pyaar se gulashan me.n ra.ng bharate hai.n
hamaaraa jazbaa-e-mohabbat ye ra.ng laa_egaa
tumhaare dar se tumhe.n ba.Dh ke khii.nch laa_egaa
gulo.n kii qaid me.n Kushbuu to ruk nahii.n sakatii
isii tarah qaid muhabbat chhup nahii.n sakatii
tum laakh chhupaanaa ...
|