aa ye khanakatii chuu.Diyaa.N ye chhanakatii paayal
kitano.n ke hosh Gum kiye kitane kiye ghaayal
ye muskuraataa cheharaa chehare pe kaalaa til
ye til hii to hai jaanaa.n ham aashiqo.n kaa kaatil
kaalii kaalii a.Nkhiyo.n se Dore na Daalo
hame.n zi.nda rahane do ai husnavaalo.n
kaalii kaalii a.Nkhiyo.n se ...
yuu.N baar baar saamane aayaa na kiijiye
is dil kii dha.Dakano.n ko ba.Dhaayaa na kiijiye
shiishe saa naazuk ye dil hai hamaaraa
sanam TuuT jaayegaa yuu.N na uchhaalo
kaalii kaalii a.Nkhiyo.n se ...
maanaa ke tumape TuuT ke aa_ii hai javaanii
tumape to meharabaan hu_ii ruup kii raanii
ye dilakash adaa_e.N ye cheharaa nuuraanii
jisako bhii Dasaa tumane vo maa.nge naa paanii
aashiq hai pata.ng aur tum Dor ho
dil ko churaane vaale tum chitachor ho
are tapatii javaanii kii garmii se jaanaa.n
Tha.nDii mohabbat ko yuu.N na ubaalo
kaalii kaalii a.Nkhiyo.n se ...
jo bhii tumhaare pyaar ke khvaabo.n me.n kho gayaa
in reshamii zulfo.n ke saa_e me.n so gayaa
vo majanuu ho gayaa vo diivaanaa ho gayaa
duniyaa ke baakii saare kaamo.n se vo gayaa
laTTuu kii tarah chakkar khaa_egaa
marake bhii vo chain na paa_egaa
hamako lagaa de kahii.n na Thikaane
in zaalimo.n se o rabbaa bachaa lo
kaalii kaalii a.Nkhiyo.n se ...
dil me.n zahar bharaa hai chehare pe bholaapan
tumane hii to chalaayaa bevafaa_ii kaa chalan
piichhe se kaho paagal aur saamane sajan
hai kahii.n pe nishaanaa aur kahii.n pe nayan
terii fitarat ham bhii jaane.n
phir bhii aa_e dhokhaa khaane
hamase chhupii hai na ko_ii hakiikat
jhuuThii sharaafat kaa pardaa haTaa lo
kaalii kaalii a.Nkhiyo.n se ...
|