giitaayan An Interface to ISB

kabhii to shaam Dhale apane ghar ga_e hote - Tum To Thahre Pardesi (Non-Film) (1998)  

Lyrics: Zaheer Alam | Music: Mohammed Shafi Niyazi | Singer(s): Altaf Raja 
View in Nagari (Hindi)
kabhii to shaam Dhale apane ghar ga_e hote kisii kii aa.Nkh me.n rahakar sa.nvar ga_e hote gazal ne bahate hu_e phuul li_e varnaa Gamo.n me.n Duub kar ham log mar ga_e hote aavaaraa havaa kaa jho.nkaa huu.N aa nikalaa huu.N pal do pal ke li_e daulat na ko_ii taazamahal chho.D jaa_e.nge ham apanii yaadagaar gazal chho.D jaa_e.nge tum jitanii chaaho hamaarii hasii.n u.Daa_o ruuThaa hu_aa magar kal chho.D jaa_e.nge aa nikalaa huu.N ... pahachaan apanii duur talak chho.D jaa_uu.ngaa khaamoshiyo.n kii maut ga.nvaaraa nahii.n mujhe shiishaa huu.N TuuT kar khanak bhii chho.D jaa_uu.ngaa aa nikalaa huu.N ... tum aaj to patthar barasaa lo kal ro_oge mujh paagal ke li_e khushbuu na sahii ra.ngat na sahii phir bhii hai vo ghar kaa nazaraanaa phuul mazaar tak nahii.n pahu.nchaa daaman-e-yaar tak nahii.n pahu.nchaa ho gayaa vo kafan se to aazaad phir bhii gulazaar tak nahii.n pahu.nchaa phir bhii hai vo ... jo tiir bhii aataa vo khaalii nahii.n jaataa maayuus mere dar se savaalii nahii.n jaataa are kaa.NTe hii kiyaa karate hai.n phuulo.n kii hifaazat phuulo.n ko bachaane ko_ii maalii nahii.n jaataa phir bhii hai vo ... patajha.D se churaa kar laayaa huu.N do phuul tere aa.nchal ke li_e maiKvaar ko itanaa hosh kahaa.n rishte kii hakiikat ko samajhe zark se ba.Dh ke to itanaa nahii.n maa.ngaa jaataa pyaas lagatii hai to dariyaa nahii.n maa.ngaa jaataa aur chaa.Nd jaisii bhii ho beTii magar uu.Nche gharavaalo.n se rishtaa nahii.n maa.ngaaa jaataa rishte kii hakiikat ... ek ek saa.Ns usake li_e qatlagaah thii usake gunaah the vo begunaah thii vo ek miTii hu_ii sii ibaarat banii rahii cheharaa khulii kitaab kaa kismat siyaah thii shahanaa_iyaa.n use bhii bulaatii rahii.n magar har mo.D par dahez kii qurbaanagaah thii vo chaahatii thii use sau.np de magar us aadamii kii sirf badan pe nigaah thii rishte kii hakiikat ... beTii kaa saudaa kar Daalaa daaruu kii ek botal ke li_e dil aur jigar to kuchh bhii nahii.n ik baar ishaaraa to kar de aaj vo bhii ishq ke maare nazar aane lage unakii bhii nii.nd u.D ga_ii unako bhii taare nazar aane lage aa.Nkh viiraa.n dil pareshaa.n zulf barahan lab khaamosh ab to vo kuchh aur bhii pyaare nazar aane lage ik baar ishaaraa to kar de ai aa_iine jo tumhe.n kam pasand karate hai.n ik baar ishaaraa to ... mai.n khud ko jalaa bhii sakataa huu.N terii aa.Nkho.n ke kaajal ke li_e ham log hai.n aise diivaane jo zid pe kabhii aa jaa_e.n to ishq me.n jo bhii muqatilaa hogaa usakaa andaaz bhii judaa hogaa aur bhaav kyo.n gir gayaa hai sone kaa usane piital pahan liyaa hogaa jo zid pe kabhii ... shahar kii ek amiirazaadii ko kal in aa.Nkho.n se maine dekhaa thaa Thiik us vaqt mufalisii ne merii ha.Ns ke meraa mijaaz puuchhaa thaa jo zid pe kabhii ... seharaa uThaa kar laa_e.nge jhanakaar terii paayal ke li_e ye khel tamaashaa lagataa hai taqadiir ke gulashan kaa shaayad phuul ke saath saath gulashan me.n sochataa huu.N babuul bhii ho.nge kyaa hu_aa usane bevafaa_ii kii usake apane usuul bhii ho.nge taqadiir ke gulashan ... yuu.n ba.Dii der se paimaanaa li_e baiThaa huu.N ko_ii dekhe vo ye samajhe pi_e baiThaa huu.N zi.ndagii bhar ke li_e ruuTh ke jaane vaale mai.n abhii tak tasviir li_e baiThaa huu.N taqadiir ke gulashan ... kaa.NTe hai.n mere daaman ke li_e phuul tere aa.nchal ke li_e
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.