aa : ye naa hogaa
mu : nahii.n hogaa hogaa
aa : kaise
mu : maano tum agar meraa kahanaa
ham dono.n mil ke kaaGaz pe dil ke
chiTThii likhe.nge javaab aa_egaa
aa : chiTThii ke lifaafe pe naam kyaa likhe.nge
mu : naam chho.Do puuchho paiGaam kyaa likhe.nge
aa : o likhe.nge ki chiTThii milate hii chale aa_o
mu : baaGo.n me.n phuulo.n ke khilate hii chale aa_o
aa : chamake.nge taare dil me.n hamaare
aur ban ke vo mahataab aa_egaa
mu : ham dono.n mil ke ...
aa : vaadaa thaa tumhaaraa kabhii doge ik nishaanii
mu : duu.Ngaa abhii to baaqii hai saarii zindagaanii
aa : jab ham na ho.nge tab shaayad ye baat ho
mu : ho sakataa hai aaj hii vo pyaar bharii raat ho
aa : hai vo safar me.n is suune ghar me.n
ban ke mehamaa.n o janaab aa_egaa
mu : ham dono.n mil ke ...
|