giitaayan An Interface to ISB

chaahe tuu miTaa de ... Gariibo.n kii duniyaa hai tere hawaale - Tadbir (1945)  

Lyrics: Swami Ramanand | Music: Lal Mohammed | Singer(s): Saigal, Suraiyaa, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
ko : ( chaahe tuu miTaa de chaahe tuu bachaa le ) -2 ( Gariibo.n kii duniyaa hai tere hawaale ) -2 are haa.N kabhii bahatii thii.n yahaa.N duudh kii nahare.n har dil me.n uThaa -2 karatii thii.n aanand kii lahare.n ab dukh ke samandar me.n hai.n ham Duubane waale hai tere hawaale -2 Gariibo.n kii duniyaa hai tere hawaale sai : Gariibo.n kii qisamat -2 kuchh aisii hai so_ii -2 jahaa.N me.n nahii.n unakaa hamadard ko_Ii su : ( sab unake lahuu ko samajhate hai.n paanii ) -2 ab in ke liye -2 maut hai zindagaanii sai : naa khaane ko roTii haa.N naa khaane ko roTii naa tan pe hai kapa.Daa -2 musiibat hai aur sahane ko jhaga.Daa -2 do : ( pa.De hai.n ye zaalim zamaane ke paale ) -2 ko : Gariibo.n kii duniyaa hai tere hawaale su : ( jahaa.N ko banaaye.n jahaa.N me.n rahe.n naa ) -2 ( musiibat sahe.n aur mu.Nh se kahe.n naa ) -2 sai : besabr laashe.n hazaaro.n pa.Dii hai.n -2 bataa aisii haalat me.n aa.Nsuu bahe.n naa bataa aisii haalat me.n aa.Nsuu bahe.n do : yuu.N bahate hai.n phuuTe huye dil ke chhaale -2 ko : ( Gariibo.n kii duniyaa hai tere hawaale ) -2 chaahe tuu miTaa de chaahe tuu bachaa le Gariibo.n kii duniyaa hai tere hawaale
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.