vaadaa haa.N vaadaa
jab tak ambar par taare ho.n aur dharatii par phuul khile.n
isii jagah aur isii tarah ham do matavaale roz mile.n
samajhe karo vaadaa
haa.N jii haa.N vaadaa
dekho ab bichha.De na mil ke nigaah
kahaa hai to ham sadaa kare.nge nibaah
tapii-tapii dhulii-dhulii saa.Nse.n hai.n gavaah
ji_e.N chaahe mare.n ab ghaTegii na chaah
jab tak nadiyo.n me.n paanii ho aur pe.Do.n ke haath hile.n
isii jagah aur isii ...
dekho kal Dhuu.NDhe nahii.n hamako ye raah
judaa ho ke jiinaa ho to jiinaa hai Gunaah
mile ye sadaa yuu.Nhii baa.Nho.n kii panaah
ghaTe na kabhii meraa pyaar hai athaah
vaadaa bolo bol diyaa na vaadaa
phuul bichhe ho.n is raste me.n yaa kaa.NTo.n se paa.Nv chhile.n
isii jagah aur isii ...
|