giitaayan An Interface to ISB

jaan sake to jaan tere man me.n chhupakar baiThe - Ustaad (1957)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: O P Nayyar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
jaan sake to jaan tere man me.n chhupakar baiThe dekh tere bhagavaan jaan sake to ... sadiyaa.N biitii.n lekin teraa diip na bujhane paayaa terii puu.njii man kii daulat sabase uu.Nchii maayaa ( siitaa jaisii shakti tujhame.n ) -2 paarvatii sii aan jaan sake to ... ko_ii na teraa na ko_ii meraa saare naate jhuuThe TuuTe dil kii aas to kyaa aas na usakii chhuuTe ( vahii sachchaa teraa svaamii ) -2 maan are i.nsaan jaan sake to ... ghar bhii chhuuTaa dar bhii chhuuTaa Dhuu.NDhe rain-baseraa Gam ke gahare baadal chhaa_e chaaro.n or a.Ndheraa nirdhan ke dukh-dard ko kyo.n kar jaan sake dhanavaan jaan sake to ... nain a.Ndheraa rastaa suunaa bhaTake jaa dukhiyaarii tere dil kii raakh me.n jalatii aaj bhii ik chi.ngaarii haar na qismat kabhii to hogii raah terii aasaan jaan sake to ... paapo.n kii apane dekho muurkh aap sazaa hai paataa jo bhii siidhii raah me.n bhaTake jo.D na usase naataa dil me.n laakho.n tuufaa.N jaage aa.Nkh na lekin ro_e karm kaa paalan karane vaalii aan apanii kho_e dekho-dekho mamataa ( pyaar kaa de balidaan ) -2 jaan sake to ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.