giitaayan An Interface to ISB

muhabbat chiiz hai kyaa muhabbat karake dekhe.nge - Yeh Raat Phir Na Aayegi (1966)  

Lyrics: Aziz Kashmiri | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
muhabbat chiiz hai kyaa muhabbat karake dekhe.nge -2 qazaa kahate hai.n kisako kisii par mar ke dekhe.nge muhabbaat chiiz hai ... ( ba.Daa hii Kuubasuurat dil se vaadaa kar liyaa hamane ki tum par jaan dene kaa iraadaa kar liyaa hamane ) -2 ( kahaa.N hai pyaar kii suulii ) -2 ye suulii cha.Dh ke dekhe.nge qazaa kahate hai.n ... ( tumhaare dar pe dil apanaa muhabbat kaa savaalii hai nashiilii aa.Nkh se dekho suraahii dil kii khaalii hai ) -2 ( chhalak jaatii hai kaise ) -2 suraahii bhar ke dekhe.nge qazaa kahate hai.n ... ( liyaa jaa_egaa kab tak jaan-e-man imtahaa.N apanaa sunaa do muskuraa kar faisalaa kuchh meharabaa.N apanaa ) -2 ( tumhaare faisale par ) -2 Kushii se mar ke dekhe.nge qazaa kahate hai.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.