kidhar mai.n jaa_uu.N samajh na paa_uu.N bulaa rahii hai.n do raahe.n
idhar hai mamataa aur udhar hai.n bhiigii niGaahe.n
kabhii kisii kii Kushiyaa.N ko_ii luuTe naa
banate-banate mahal kisii kaa TuuTe naa
kabhii kisii kii ...
bha.Nvar se bach ke ek bhaTakatii naav lagii thii kinaare
kise Kabar thii phir pahu.Nchegii in aa.Nsu_o.n ke dvaare
haay is tarah bhaag kisii se ruuThe naa
banate-banate mahal ...
abhii abhii do phuulo.n vaalii jhuum rahii thii Daalii
ghirii achaanak kaalii badalii bijalii giraane vaalii
hote-hote saath kisii kaa chhuuTe naa
banate-banate mahal ...
|