giitaayan An Interface to ISB

mere chaaro.n taraf ... mai.n tanahaa thaa - Zebo (Pakistan) (1972)  

Lyrics: Qateel Shifai | Music: Khurshid Anwar | Singer(s): Mehdi Hasan 
View in Nagari (Hindi)
mere chaaro.n taraf zamazame.n, qahaqahe, saraKushii hai mere chaaro.n taraf zi.ndagaii zi.ndagaii zi.ndagaii hai par ai dil bataa ke mai.n kab talak isase mu.Nh mo.D kar apane maazii kii yaado.n se lipaTaa rahuu.Ngaa mai.n tanahaa thaa, tanahaa huu.N, tanahaa rahuu.Ngaa kab talak yuu.N lagataa hai jaise merii soch ke saaye naach rahe hai.n aaj pahan kar jism paraaye tuu bhii jhuum le, jhuum le, jhuum le tuu bhii jhuum le har saayaa ye kahataa hai are pagale kaun alag Kushiyo.n se rahataa hai par ai dil bataa ai dil bataa ke mai.n kab talak har Kushii se alag apanii tanahaa_iiyo.n me.n bhaTakataa rahuu.Ngaa mai.n tanahaa thaa, tanahaa huu.N, tanahaa rahuu.Ngaa kab talak -2 aaj ye kaise sundar sapane dekh rahaa huu.N Gairo.n kii mahafil me.n apane dekh rahaa huu.N narm reshamii baazuu baazuu baazuu narm reshamii baazuu mujhe bulaate hai.n haay aane waale kal ke Kaab dikhaate hai.n par ai dil bataa ai dil bataa ke mai.n kab talak apanii uja.De huye kal ke maatam me.n aa.Nsuu bahaataa rahuu.Ngaa mai.n tanahaa thaa, tanahaa huu.N, tanahaa rahuu.Ngaa kab talak -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.