giitaayan An Interface to ISB

bahak chale mere nainawaa - Chaandni Chowk (1954)  

Lyrics: Shailendra | Music: Roshan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
pasiina na ham samajhe na aap aaye kahii.n se pasiinaa pochhiye apanii zabii.n se ( bahak chale mere nainawaa haay na jaane kaisii chalii hawaa kyuu.N naa lagii kal raat ko palak mujhe ye kyaa ho gayaa haay mujhe ye kyaa ho gayaa ) -2 aa.Nchal se meraa haath haTe na nain rahe mere jhuke-jhuke -2 kha.Dii rahuu.N darapan ke aage ulajhii laT na sulajh sake haay ulajhii laT na sulajh sake mujhii ko mere haal pe sharamaanaa ko_ii sikhalaa gayaa kyuu.N naa lagii kal raat ko palak mujhe ye kyaa ho gayaa haay mujhe ye kyaa ho gayaa Kaamoshiyo.n me.n dil kii ko_ii giit gaa rahaa hai -2 aa.Nkho.n me.n muskaraa ke ha.Nsanaa sikhaa rahaa hai -2 mai.n huu.N kahii.n meraa dil kahii.n ko_ii kaisaa ye jaaduu chalaa gayaa kyuu.N naa lagii kal raat ko palak mujhe ye kyaa ho gayaa haay mujhe ye kyaa ho gayaa ( man me.n runak-jhunak ye kaisii naach rahe kyuu.N paa.Nv mere ) -2 ye tuufaa.N ye halachal kaisii bin mausam kii ghaTaa ghire haay bin mausam kii ghaTaa ghire gha.Dii-gha.Dii machale jiyaa jaise phir se la.Dakapan aa gayaa kyuu.N naa lagii kal raat ko palak mujhe ye kyaa ho gayaa haay mujhe ye kyaa ho gayaa bahak chale mere nainawaa haay na jaane kaisii chalii hawaa kyuu.N naa lagii kal raat ko palak mujhe ye kyaa ho gayaa haay mujhe ye kyaa ho gayaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.