ai duniyaa ke maa.N-baap suno ye desh hai kishan-kanhaiyaa kaa
ye bhuumii vahii hai pyaar jahaa.N luTataa thaa jashodaa maiyaa kaa
lekin is desh me.n hii ab to aise bhii abhaage hote hai.n
maa.N-baap ke hote huye bhii jo ha.Nsane kii umar me.n rote hai.n
( dukhiyo.n pe kuchh raham karo maa.N-baap hamaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare ) -2
dukhiyo.n pe kuchh raham karo
ham hai.n wo diye ruuTh ga_ii jin se diiwaalii -2
wo phuul hai.n jinase yahaa.N naaraaz hai maalii
ham wo hai.n jo pyaase rahe ga.ngaa ke kinaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo
ho
jo ho sake tumase to zaraa pyaar hame.n do -2
ham ro rahe hai.n ha.Nsane kaa adhikaar hame.n do
pyaar hame.n do
aa.Ngan me.n tumhaare hai.n kha.De haath pasaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo
ma_iyaa zaraa ek baar hame.n paas bulaa lo -2
baapuu hame.n sa.nsaar kii aa.Ndhii se bachaa lo
tumako hamaarii aa.Nkh kaa har aa.Nsuu pukaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo maa.N-baap hamaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo
|