giitaayan An Interface to ISB

piyaa-milan ko jaat huu.N - Vidyapati (1937)  

Lyrics: Kedar Sharma | Music: R C Boral | Singer(s): K C Dey, Pahari Sanyal, Kanan Devi/ K C Dey 
View in Nagari (Hindi)
pa : piyaa-milan ko jaat huu.N saj-dhaj siish gu.Ndhaay -2 ( log kahat mai.n baa.Nwarii sab jag ha.Nsii u.Daay sab jag ha.Nsii u.Daay ) -2 kaa : wo kyaa jaane jo marane se ghabaraaye wo kyaa jaane prem kii dhun jo marane se ghabaraaye o mahaaraaj aap abhii tak kha.De hai.n puujaa kii tayyaarii nahii.n hogii tumhe.n kyo.n kar maaluum hu_aa ki puujaa kii tayyaarii karanii hogii Kuub itane dino.n se mai.n isii gha.Dii kaa i.ntazaar kar rahii thii mai.n jaanatii thii ki wo din aayegaa jab aapake raajaa aur merii raanii ek saath kahe.nge puujaa kii tayyaarii karo is puujaa ke liye ma.ndir me.n mujhe bhii le chalo anuraadhaa chalo madhusuudan daadaa anuraadhaa uTho sa.ndhyaa hote hii prediip jalegaa, devadaasii nritya kare.ngii tum giit gaa_oge bhagawaan jaag uThe.nge bhakto.n ko dekh kar muskaraaye.nge ?? girataa hai -2 naadaan sambhal -2 kyuu.N girataa hai -2 jag kii maayaa -2 phe.nk rahii hai ?? jag kii maayaa pa : lo priit kii jiit hai jiitaa jag -2 jo bichha.De the wo mil jaaye.n kaa : lo priit kii jiit hai jiitaa jag -2 jo bichha.De the wo mil jaaye.n pa : tuu tuu na rahe kaa : mai.n mai.n na rahuu.N do : tuu tuu na rahe mai.n mai.n na rahuu.N kuchh aise ham ghul-mil jaaye.n tuu tuu na rahe mai.n mai.n na rahuu.N -2 pa : kuchh aise ham ghul-mil jaaye.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.