(ra.ngiilaa re, tere ra.Ng me.n
yuu.N ra.Ngaa hai meraa man
chhaliyaa re, na bujhe hai
kisii jal se yah jalan) - 2
o ra.ngiilaa re
palako.n ke jhuule se sapano.n kii Dorii
pyaar ne baa.Ndhii jo tuune vo toDii
khel yah kaisaa re, kaisaa re saathii
diyaa to jhuume.n hai.n roye hai.n baakii
kahii.n bhii jaaye re, roye yaa gaaye re
chain na paaye re hiyaa
vaah re pyaar vaah re vaah
ra.ngiilaa re ...
duHkh meraa dulhaa hai birahaa hai Dolii
aa.Nsuu kii sa.Dii hai aaho.n kii cholii
aag mai.n piyuu.N re jaise ho paanii
naarii divaanii huu.N pii.Daa kii raanii
manavaa yuu.N jale hai, jag saaraa chhale hai
saa.Ns kyo.n chale hai piyaa
vaah re pyaar vaah re vaah
ra.Ngiilaa re ...
ra.ngiilaa o ra.ngiilaa
mai.nne to sii.nchii re terii ye raahe.n - 2
baaho.n me.n terii kyo.n auro.n kii baahe.n
kaise tuu bhuulaa vo phuulo.n sii raate.n
samajhii jab aa.Nkho.n ne aa.Nkho.n kii baate.n
aa.Nv bhar jhuuThaa re, sapanaa har TuuTaa re
phir bhii tuu ruuThaa re piyaa
vaah re pyaar vaah re vaah
ra.ngiilaa re, ra.ngiilaa re
|