giitaayan An Interface to ISB

chhaayaa merii ummiid kii duniyaa me.n a.ndheraa - Chandni Raat (1949)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Shamshad 
View in Nagari (Hindi)
( chhaayaa merii ummiid kii duniyaa me.n a.ndheraa ab ye kise maaluum hai kab hogaa saveraa ) -2 kho jaaye naa mil kar kahii.n ulfat kaa Kazaanaa kahii.n ulfat kaa Kazaanaa kho jaaye naa mil kar kahii.n ulfat kaa Kazaanaa rah jaaye na luT kar kahii.n aramaano.n kaa Deraa ab ye kise maaluum hai kab hogaa saveraa khilane bhii na paa_ii.n abhii kaliyaa.N mere dil kii abhii kaliyaa.N mere dil kii khilane bhii na paa_ii.n abhii kaliyaa.N mere dil kii dil to.D ke Gam ne kiyaa pahaluu me.n baseraa ab ye kise maaluum hai kab hogaa saveraa sunataa nahii.n ko_ii kise mai.n jaa ke sunaa_uu.N kise mai.n jaa ke sunaa_uu.N sunataa nahii.n ko_ii kise mai.n jaa ke sunaa_uu.N dukh-dard me.n Duubaa hu_aa afasaanaa hai meraa ab ye kise maaluum hai kab hogaa saveraa chhaayaa merii ummiid kii duniyaa me.n a.ndheraa ab ye kise maaluum hai kab hogaa saveraa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.