giitaayan An Interface to ISB

raahii tuu mat ruk jaanaa, tuufaa.n se mat ghabaraanaa - Door Gagan Ki Chhaon Mein (1964)  

Lyrics: Shailendra | Music: Kishore | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
raahii tuu mat ruk jaanaa, tuufA.n se mat ghabaraanaa kabhii to milegii terii ma.nzil kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n maanaa ki gaharii hai dhaaraa par hai kahii.n to kinaaraa tuu bhii milaa aashaa ke sur me.n man kaa ye ekataaraa kabhii to milegii terii ma.nzil kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n sabakaa hai uuparavaalaa sabako usii ne sambhaalaa jab bhii ghire Gam kaa a.ndheraa usane kiyaa ujiyaalaa kabhii to milegii terii ma.nzil kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n raahii tuu mat ruk jaanaa, tuufA.n se mat ghabaraanaa kabhii to milegii terii ma.nzil kahii.n duur gagan kii chhAo.n me.n kahii.n duur kahii.n duur kahii.n duur kahii.n duur
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.